Tuesday, October 29, 2013

Kuch Yun Hain Unse Wabasta Hum


Khayal jo unka aata hume kabhi..
zehen se unke guzrta hai humare naam ka tinka bhi..
kuch yun hain....unse wabasta hum....

Yaad yahan hum unhe kare toh..
pi kar paani wahan....hichkiyaan apni mitaaye woh..
kuch yun....hain unse wabasta hum....

Zakhm khaaye woh jahaan..
hota hai hume bhi dard wahan..
kuch yun....hain unse wabasta hum....

Hase woh kisi baat pe jab..
muskura de thoda hum bhi tab..
kuch yun....hain unse wabasta hum....

Namaaz ada karne ko jo sar woh apni jhuka de..
dua qubool khuda humari kar de....
kuch yun....hain unse wabasta hum....

Door yahan unse baithe, taraste hum..
tadap wahan hoti unhe bhi na kum..
kuch yun....hai unse wabasta hum.....

In ehsaaso ke bina..zindagi lage bemaani....
kehne ko dosti hai..nibhaane ko ishq..
par zaahir kare na woh na hum..
kuch yun....hai unse wabasta hum.....

Jo samajh le in lafzo ka aapas me talluq.. woh shayar..
aur jo na samjhe.. woh bekaar insaani.....
Ke in ehsaaso ke bina..zindagi badi bemaani....!!!!
*Anamika Sen*

Thursday, August 15, 2013

Tum ‘gar kisiko chaho toh

Tum ‘gar kisiko chaho toh,
Ussey dur kabhi mat jao,
Ke tum dur huey toh,
Uska dil tut jayega….

Tum ‘gar kisiko chaho toh,
Usey kabhi mat rulao,
Ke uske aansuo se,
Tumhara daaman bheeg jayega….

Tum ‘gar kisiko chaho toh,
Usey samjho,
Ke yun tumhari na samjhi se,
Uska chehra murjha jayega….

Tum ‘gar kisiko chaho toh,
Maaf kar do uski naadaniyon ko jo tumhe gussa dilaye,
Ke tumhara gussa shayad,
Usey humesha ke liye khaamosh kar jayega….

Tum ‘gar kisiko chaho toh,
Usey pane ki har mumkin koshish aazmao,
Ke tumhari koshish bhar se,
Woh tumhara ho jayega….

Tum ‘gar kisiko chaho toh,
Usey nek dil se chaaho,
Ke dil me khuda basta hai,
Aur us khuda ke rehem-o-karam se,
Tera ishq jeet jayega….
Tera ishq jeet jayega….

*Anamika Sen*

Sunday, May 26, 2013

"Door Kahin Apna Ek Aisa Sansaar Ho.."

Door kahin apna ek aisa sansaar ho....
Jahaan ke sirf main aur woh kirdaar ho,
Jahaan beshumaar pyaar ho,
Halki si nok-jhonk aur thodi bohot taqraar ho,
Kabhi roothna kabhi manana par ek dusre ke bin na rehna,
Jahaan aapsi ye samajh apaar ho,
Door kahin apna ek aisa sansaar ho....

Bheed se dur,
Shor se dur,
Bohot dur....
Apna ek aisa sansaar ho......

Dhup lage mujhe jab..chhaanye me le jaye,
Thand se kaanpu agar.. toh mujhe kambal woh odhaye,
Baarish me saath bheege fir mera chhaata woh ban jaye,
Hicchkiyan aaye mujhe agar.. toh paani woh pilaaye,
Raat ko nind na aane par.. apni goudd me thapkiya de sulaaye,
Bhul jaun khaana agar.. toh daant kar mujhe khilaye,
Haar kar roun jo kabhi.. toh peeth sehlake mujhe chup karaye,
Jab jeet kar aaun toh.. sabko khushi se woh bataye,
Jhagda hone par..mujhe pyaar se samjhaye,
Kar dun gusse me dur agar, toh mere aur qareeb chala aaye,
Aur baahon me le mujhe.......bas muskuraye,
Itna pyaar kare.. ki meri aankhein bhar aaye,
Aur kaano mein mere dheere se keh jaaye....
"Jaane na dunga akela tujhe..aaunga sang tere....
Phir chahe khatam hota tera ehsaas ho.. ya aakhri teri saas ho."

Kuch yun uska pyaar ho..
Aur woh mere saath ho..
Humesha mere paas ho..
Aur dur kahin apna sansaar ho..
Jahaan ke sirf main aur woh kirdaar ho.....
Sirf hum do kirdaar ho.........!!!!